Urdu

Awaaz-e Huquq-e Mazlumin

May 30, 2018

Az Fazal Amin Beg

Qaydi ban key bhi zalimuñ ko jo lalkarta hey
Hoshmandun ko to is sey bhi sabaq milta hey

Natawañ lolguñ ki is desh me heñ kiya hasiyat
Ilm u fehm waluñ ka zamir bhi jab marta hey

Sher-e dil karta hey fir’awn u yazid ka samna
Zulm seh seh key bhi par qom ko sawarta hey

Jurm tumhaara nihayat hi hey sangeen ay jan
Mazlumuñ ka tu kiyo yuñ sath diay karta hey

Bano beyman u munafiq, aur karo tu aysh ur asharat
Jangal_e wahsh me kis haq ki wo bat karta hey

Khowf-e haq se baney heñ har koyi kazab u dalal
Haq ki koyi bat karey, un pe sitam hota hey

Ghasibu ke mahaluñ me tu zara jhank ke dekh
Nafs parasti sey un ki zulm ka tufañ ut̃hta hey

Lehr-e haq dakhil hey ab misl-e lawa har dil me
D̃ar se dil ghasibuñ ka ab to larzañ hota hey

Kahey khud ko koyi insan to insaniyat hey insaf
Karey gar salb-e huquq, wo darinda hota hey

Hamsafar aur bhi hey haq ke karwan mey ey jan
Bar sar-e yurishe zulm, khanjar-e ilm chalta hey

Mazlumin hongey riha, fikr na kar ey Fazal Amin
Uqabi jawan heñ tayar, haq pe tu kyun rota hey

Composed on April 14, 2017 in Gilgit and dedicated to BJ Hunzai and all other friends and colleagues facing against and battling serious Human Rights issues everywhere within Pakistan and Gilgit-Baltistan Region and on the surface of our mother Earth.

You Might Also Like

No Comments

Leave a Reply