Urdu

Aafat-e Attabad: Darya-e Hunza Ki Bandish or Tufaañ Ka Aik Manzar (Urdu Kalam)

June 1, 2018

Az Fazal Amin Beg )Farwari 2010)

San do hazãr das kaa saal-e isawi
Nahi hay naik shogun chaar Janwari

Huwa zuhur pazeer saanha-e Attabad
Taba ye gaawñ huwa aur huwaey ye sab barbaad

Ambaar-e koh se band ho gayi ik abadi
Dunya se kat̃ gayey aakhir bechaarey Gojali

Dewqaamat malba sey band ho gaya hey ye darya
Nahee hai qatra-e aab, ab paayin-e darya

Nishaani dosti ki ho gayi hai ab barbaad
Raah-e giruñ ko keh gaya kherbaad

Surat-e jheel ban gaya daryaa
Rafta bala ye ban gayaa azhdaha

Qast-e tabaahi kar gaya azhdaha
Do lachaar gawñ ko nigal hi gaya

Pas az Ayinabad Shishkat gaya
Pul-e shahrah ko har̃ap kar gaya

Rukh-e wahshi ba Gulmit u bala
Dekh Sarkar ab bhi tamasha

Qaamat-e Azhdaha hai ab das meel
Dassiyũn aur bar̃ey gi yũn ye cheel

Dekhna aur bhi gaawñ zer-e aab
Az Ghulkin ta ba Passu dar selaab

Khwawb-e sarma sai ut̃hengey dar bahaar
Azhdaha-e glesher hongey tayar

Pigal kar aayegi azhdaha ki wo fowj
Hogi darya pe sawaar aur ar̃hayegi mawj

Kam u besh chaalis hongey azhdaha
Dast-e dosti bat̃ayenengey yahan

Har su mil ke karengey ye har̃hap
Aakhir malbey pe karengey ye jhar̃hap

Zudtar malbey ko dengey ye shikast
Yuñ hi malba cheer key aayengey mast

Wadi-e Hunza mai dekhey ab tufaañ
Aafat-e gambheer se aah u faghaañ

Pul-e Ganish aur Hindi u Nomal
Sab nigal key Gilgit pohncha bar mahal

Muntazir-e tufaañ hai darya-e Ghizer
Taaki us mai peshgi ho us ka uzr

Kaaley badal aur aandhi se fiza
Dekhna ye ghur ghuraahat̃ aur dahshat ka samaañ

Apni manzil ki taraf ye gamzan
Mil gaya darya-e Sind, taaqatwr ye rahzan

Ja raha tufaañ ka rela du ba du
Para para kartey ponch gaya Dasu

Ban gaya ab khaab Diyamar-Basha D̃am
Mutnaza arazi pe kiho ki tum ney claim

Beh gaye pul-e Dasu u Raykot̃
Jaatey jaaatey aur ur̃haaya Thakot̃

Ab kat̃ gayi dunya se Gilgit-Baltistan
Kasm pursi har taraf, har koyi hai sargardan

Khunkhwaar tufaañ ab ba su’at chal diya
Nazd-e Attak Tarbela ka rukh kar gaya

Malyamet̃ darya kinaarey gawñ gawñ
Nist u nabud har jaga chaawñ chaawñ

Mil gayey darya-e Kabul aur Sawat
Bar̃h rahi hai aur bhi sharh-e amat

Tarbela ka band ho gaya hai ab azaad
Waarid-e Panjab ho ke yuñ hi sab barbad

Zaalim u mazlum sab dast ba du’a
Ya Rahman u ya Rahim! Bakhshish farma ya Mawla

Samjhey hai kiyoñ ye log tufaañ ko mazaq
Qahr-e Qudrat hai ye, na ki insaani qazaq

Ay Fazal Amin! Ab to hoshyaar bbash
Kar khabardar, warna bar̃h jaayengey laash

Note by the poet:
This Urdu poem I had composed in February 2010 when the Attabad disaster lake of the Hunza River was submerging the fascinating Gulmit-Shishkat bridge on the Karakoram Highway (KKH).

You Might Also Like

No Comments

Leave a Reply